Thursday, 13 October 2016

Labo se muskurane ka julm



























Labo se muskurane ka 
                     julm na kar,
Aashiqo ki hadd se gujar
                    jaane pe ban aayi hai..

Tumhare aane se hi 
                   mehfil me aaya tha sukun,
Tumhare jaane se hi
                   saanso ko saans aayi hai..

Chalte hue kadmo ke
                   nishaan na chhoda karo sahil pe,
Tumhe chhune ki hasrat me
                   dariya ne fir se li angdai hai..

Tu khaaw hai mera 
                   tasabur hai mera tujhse,
Baat lafjo se chhann ke
                   honto se nikal aayi hai..

Ek jism pehna hai 
                   jo tujhse pakija hai,
Ek ruh hai meri 
                   jisme tu samai hai..

Labo se muskurane ka 
                   julm na kar,
Aashiqo ki hadd se gujar
                   jaane pe ban aayi hai..

Tumhare aane se hi 
                   mehfil me aaya tha sukun,
Tumhare jaane se hi
                   saanso ko saans aayi hai..


Written by Dev Verma...



Sunday, 18 September 2016

Ek Saans Bhaari Si...


















Ek saans bhaari si, 
Koi baat uljhi ho jaise jehen me..
Awaajo ki kapkapahato si,
Koi ummid bikhri ho jaise nazar me..
Tum kal chale jaaoge unhi,
Bina ankhon me utre hue..
Tum kal chale jaaoge unhi,
Bina haatho ko chhuye hue..

Wo manjar darawna to hoga,
Jab unhi chale jaaoge tum..
Mujhe apne hisse me se,
Sirf apni yaad de jaaoge tum..


Ek chaand pura na utra,
Ek puri subha ne angdaai na li uth ke..
Tumne kholi do ankhen yun apni,
Jaise jugnu jaage ho muddato se..
Aur fir mujhe hi dekhna,
Aur fir bas dekhte rehna..
Apni ankhon se lafj girana takiye per,
Labo se fir bhi na kuch kehna..
Ek saans bhaari si,
Koi baat uljhi ho jaise jehen me..
Awaajo ki kapkapahato si,
Koi ummid bikhri ho jaise nazar me..



Written by Dev Verma…

Tuesday, 9 August 2016

BAND KITAB


















Band Kitab kholi hai mene,
Jaise koi khidki kholi kal ki..

Tumhara jiker liye kai panne,
Tumhara chehra, tumhari boli..

Jitni bhi dhul hataayi khud se,
Chamka fir se tera saaya..
Apni ungliyon se chhua her lafj,
Pass tumhe fir apne paaya..

Kitne dino ke baad,
Aaj mulakat hui,
Na lafj the na jajwaat,
Fir bhi baat hui..

Wahin khade hai aaj bhi bina,
Jajwaaton ke ahsaaso ko samjhte hue..
Ho jaati hai kitni saari baaten 
Bina honto ke bhi hilte hue..

Band Kitab kholi hai mene,
Jaise koi khidki kholi kal ki..
Tumhara jiker liye kai panne,
Tumhara chehra, tumhari boli..


Written by Dev Verma...

Tuesday, 2 August 2016

Baat itni hai




















Apne ilm me raho bas,
Baat itni hai.
Iss sheher me dhup bahut hai,
Chaawn itni hai..

Tum chirago se,

Ho jao Roshan.
Dhuyan hai her taraf,
Aag itni hai..

Tumhe hi sochu,

Tumhare hi khaaw dekhu,
Meri aankhon me basi,
Raat itni hai..
Apne ilm me raho bas,
Baat itni hai.
Iss sheher me dhup bahut hai,
Chaawn itni hai..

Written By Dev Verma...

Tuesday, 26 July 2016

Jaane kab..















Jaane kab wo din aayega,
Jaane kab wo raat hogi..
Tere pahlu me

Baithunga ta umar me,
Aur fir sirf tumse hi baat hogi..

Jaane kab tum bol dogo,
Sabkuch mujhse,
Jaane kab me tumhe
Yakin dila paaunga..
Jaane kab wo din aayega,
Jaane kab wo raat hogi..


Kitna kuch me tumse
Na kehke bhi bol deta hu,
Pata nahi tum kyun

Nahi sunna chahte..
Tum bhi to bolte ho

Apni aankhon se..
Bas wo nahi kehte jo me

Tumhare labo se sunna chahta hu..
Kuch dekha hai mene

Tumhari aankhon me
Jo bilkul mere jaisa hai..
Jo sayad mere liye ho tum me..


Me jaanta hu tum yun

na doge wo mujhe,
Jo sirf mera hai
Sirf tumhare pass rakha hai,
Kuch ghadiyo ke liye..
Mera intzaar bhi chamkta hai

Meri aankhon me,
Dekha hai tumhe mene

Padte hue meri aankhon ko..
Jaane kab wo din aayega,
Jaane kab wo raat hogi..



Written by Dev Verma...

Monday, 25 July 2016

Aage Badne Ka















Aage badne ka jo iraada rakho,
Khud pe bharosa thoda jayada rakho..

Tum andhero ki parwaah chod do
Subha hogi jarur,
Apni aankhon me tum
Hoslo ka thoda ujala rakho..

Huner nahi hai ye
Duniyadaari kaho isse,
Suno sabki yahain aur
Juban pe taala rakho..

Aage badne ka jo iraada rakho,
Khud pe bharosa thoda jayada rakho..


Written by Dev Verma...

Tuesday, 12 July 2016

Ha Dil Ye Rota Hai





















Ha dil ye rota hai.
Jab tanha hota hai..
Khamosh ho jati hai khamoshiyan bhi kabhi.
Sirf apna saaya hi sung hota hai..
Ha dil ye rota hai.
Jab tanha hota hai..

Apne hi alfaaz sunayi nahi dete.
Aankhon ko badalte mausam dikhayi nahi dete..
Mehsus fir kahain kuch hota hai.
Ha dil ye rota hai.
Jab tanha hota hai...

Lakire haatho ki noch lu jo kabhi.
Naam tera haatho pe kharoch lu jo kabhi..
Tute bikhre ahsaaso ka gilaa hota hai..
Ha dil ye rota hai.
Jab tanha hota hai..


Written by Dev Verma..

LAGA KE RAKHO DIL KAHIN





















Laga ke rakho dil kahin
                Ki thoda aaram mile,
Din bhar ki thakan ko
                Kisi ki panaho me shaam mile..

Kho na du kahin chand
                Lamho ka safar bhi,
Mile jitne bhi khat usse
                Sab benaam mile..

Usne Chhu ke mujhe
                Hunermand kar diya,
Jis se bhi mile ab hum
                Dil-e-bejar mile..

Laga ke rakho dil kahin
                Ki thoda aaram mile,
Din bhar ki thakan ko
                Kisi ki panaho me shaam mile..


Written by Dev Verma

                 

Saturday, 9 July 2016

Tera tu hi jaane...


























Tera tu hi jaane,
Me jaanu bas mera..

Samjhe dil jo
Wo hum samjhe nahi,
Waqt ka hai ye fera..

Tujh bin suna hai dil
Ankhon se behta dariyaa,
Lafzo ki kalikh gehri hui
Chahto pe kaale saayo ka dera..

Jism dhalta hai ab
Jehan pechida hua..
Nazro se ojhal
Saath tera mera hua..

Gunjti rahi mujhme
Meri khawahiso ki chikhe,
Ghut sa gaya hai 
Mujhme kirdaar mera.. 
Tera tu hi jaane,
Me jaanu bas mera..


Written by Dev Verma...

Friday, 8 July 2016

Chand Asmaan Ka




















Badlo se hai utra,
Jhil ke kinaare..
Thoda duba hai paani me,
kabhi Khud ko hi nihaare..
Chand asmaan ka,
Chand zami ka..

Chandani ke daman ko thame,
Nikla hai anjan safar ko..
Kuch der theherega yahain,
Milega aaj saher ko..
jhilmita hai chehra uska
Jo darakhto se jhanke kabhi,
Uski ankhon se pighla hai Intzaar,
Dhundh ke piche bhage kabhi..
Chand asmaan ka,
Chand zami ka.


Written By Dev Verma

Wednesday, 6 July 2016

Rakhta hai mera naam wo..



















Rakhta hai mera naam,
Wo apne honto per.
Pukarnaa bhul jaataa hai..
Gairo se karta hai rabta.
Bas mujhko satataa hai..
Hasin khaaw uski aankho,
Me bhi chamakte hai.
Anpe lavo se wo,

Sabkuch chupataa hai..
Mujhme to rehtaa hai,

Ek nur ki tarahaa.
Her duaa me uskaa,

Naam aataa hai..
Jisne muddato se na khud ko,

Dekha aaine ki parto me.
Aaj wo aaine ko gurur se,

Aankhe dikhataa hai..
Bade bematlab se log milte hai,

Mohhabat ke sahar me 'Dev'.
Saayad meri tarahaa wo bhi,

Yakin karne se ghabraataa hai...


Written by Dev Verma


Tuesday, 5 July 2016

Duniya ke hasin rango se...


















Duniya ke hasin rango se,
        Bezaar ho gaya hu..
Me ujde hue seharo ki,
        Bayaar ho gaya hu..

Khun se lathpath hai
        Jism mera,
Suna hai aajkal me,
        Akhbaar ho gaya hu..

Sahi ko sahi, galat ko galat
        Batata raha me umarbhar..
Aaj sabki nazro me,
        Gunehgaar ho gaya hu..
Duniya ke hasin rango se,
        Bezaar ho gaya hu..
Me ujde hue sehar ki,
        Bayaar ho gaya hu..


Written by Dev Verma...

Monday, 20 June 2016

kache Makan






















Kache makano ki,
Yahi riwaayat hai..
Andhiyon ke daur me,
Saber ki azmaish hai..

Barsaat bhi to jab chahe,
Aa jaati hai ghar ke ander jaise,
Kache makano me khidkiyan nahi hoti..
Suna hai jindgi hoti hai wahain,
Jiski koi kimat nahi hoti..

Bas saber hota hai unke pass,
Ek naye kal ke liye..
Ek chahat hoti hai unke pass,
Ek nayi subha ke liye..
Kachhe makano ki,
Yahi riwaayat hai..
Andhiyon ke daur me,
Saber ki azmaish hai..


Written by Dev Verma


Khusnuma mausam...





Khushnuma mausam,

    Madhosh nazare..
Teri ankhon ke hai,
    Ye tilism saare..


Me dil ki kashti

    Le chala samander me,
Tufan ne kiye mujhko
    Tere hi hawaale..


Jisko bhi mile

     Khaw tere rangin,
Wo hi jaane teri
      Ankhon ke ishare..
Khushnuma mausam,
    Madhosh nazare..
Teri ankhon ke hai,
    Ye tilism saare..



Written by Dev Verma...