Wednesday, 20 April 2016

Adhura rishta..

















Kuch Khamosh sa reh gaya,
Kuch adhura sa reh gaya..
Duriyon ke darmiyan,
Ek rishta sa reh gaya..
Kabhi beh chala,
Kabhi tham gaya..
Kuch kehne sunne ka,
Bas irada sa reh gaya..
Khamoshiyon ka shor,
Kabhi shor me khamoshi..
Dahleez pe utra nahi,
Chand falak kaa..
Me zami pe chandni,
Bas takta sa reh gaya..
Kuch khamosh sa reh gaya,
Kuch adhura sa reh gaya,
Duriyon ke darmiyan,
Ek rishta sa reh gaya..

Written by Dev Verma..

Thursday, 14 April 2016

Milenge kabhi hum chand ke paar..:-


Milenge kabhi hum chand ke paar,
Ek nayi subha me..
Ek nayi kahani ke saath..

Jahan phool mehkenge.
Tum bhi khiljaana thoda sa..
Unn phoolo ki taraha..
Mujhme mil jaana thoda sa..
khushboo ki tarahaa..

Milenge kabhi hum chand ke paar,
Ek nayi subha me..
Ek nayi kahani ke saath..

Ek naye arsh me.
Tum khawahisho ko likh dena..
Gunguni dhup me.
Apni chahat bayan ker dena..

Naa rakhnaa hisaab tum.
Naa rakhnaa koi jawab tum..
Naa bataana kitna lamba ye intzaar thaa.
Naa jataana tumhe mujhse kitna pyaar thaa..

Saare sawalo ka jaawab,
tum yun mujhe dena..
Apni khawahisho ko apne labo se,
Mere labo per rakh denaa..
Me pad lunga tumhe ahishta se.
Uss nayi subha me..
Milenge kabhi hum chand ke paar..
Ek nayi subha me..

Ek nayi kahani ke saath..


written by Dev Verma...

Friday, 8 April 2016

Tum sun lenaa..















Bhale tum uss paar baithe ho..
Aankhon me liye bahar baithe ho..

Tum ko chhu legi hawaa banke,
Meri dil ki chahat ye..
Tumhare dil se gujregi sarsarahat ye..
Tum sun lenaa..
Tum sun lenaa..
Duriyon ke iss paar..
Koi tumhe de rahaa aawaj..
Tum sun lenaa..
Tum sun lenaa..

Jiss pal teri dhadkane gungunayegi mujhko..
Teri Baaton me meri baaten, 
khilkhilaayengi tujhko..

Tere labo se julfe jab karne lage baatein..
Teri Palko pe jhilmilaayengi jab 
ye yadein..
Tum sun lenaa..
Tum sun lenaa..

Jo mene ab tak na kaha tumse..
Tum sun lenaa..

Written by Dev Verma...