Kissi roz jaag ke,
Kuch kagaj pe khurcha tha mene..
Kalam ki nok bhi tapkti rahi thi Raat bhar..
Kitna saare ahsaas udele the un fike panno pe..
Sabkuch jo tumse me keh bhi na saka..
Ye bhi ki tum mere liye kya ho..
Her lafz nikal chala tha kashti ke sang..
Jaise tere sahil se takra ke therega..
Tujhko aawaaj dega..
Tujhko rok legaa..
Kissi roz jaag ke,
Kuch kagaj pe khurcha tha mene..
junun to tha un alfaazo me sayad..
Neend bhi aankho se lad na paayi..
Raat bhi uss tufan ko thaam naa paayi..
Subha ki bhor bahut pachida thi uss din..
Samjh hi nahi paya,
me raat bhar jaagaa..
Yaa muddato baad ab jaaga hu...
Bahut dino baad suraj ki pahli kiran me,
muh dhoya mene..
Kuch badla sa to tha mujhme..
Jaise tu mujhse nikal gaya ho..
Sirf ab me tha apne sang..
Jaise Sabkuch beh gaya ho..
Fir bhi palke gili na thi..
Kissi roz jaag ke,
Kuch kagaj pe khurcha tha mene..
Me uth ke thodi der tehla tha uss din,
khidki ke ird gird..
Hawaa bhi Sehla rahi thi mujhe..
Kabhi jor se to kabhi halke halke..
Khaali ho gayaa tha me ander se aaj pahli baar..
Thodi der baad Kuch sunai diya dheema saa..
Wo mera ahsaas tha un panno pe ghissa huaa ...
Wo bhagna chahta tha,
uss panne ki chaar diwaro se..
Mene dekha tha pahle bhi,
ahsaaso ke parindo ko udte hue..
Bas yahi soch ke gunth diya uss panne ko
Apni hateliye me..
Socha tha tum laut aaoge mujhme fir se..
Kissi roz jaag ke,
Kuch kagaj pe khurcha tha mene..
Jab der tak tum nahi laute..
Socha ek aakhiri baar dekhu tumhe..
Apne haatho me...
Apna aakhiri ahsaas dekhu tumhare liye..
Khol ke dekha jo part dar part,
uss ahsaso ki chhoti potli ko..
Uss pe ubhara hua tera naam thaa..
haa Wo tera naam tha...
Uss roz jaag ke tera naam
Kureda tha mene uss kagaj pe..
Written by Dev Verma...