Sunday, 7 June 2015

Haa fir bhi hasta hu..













Me khud me bujhta hu roz..
Aur fir thodi der khomoshi me..
Moti jaise bikharte dekha hai,
mene khud ko khud me..
Naa jaane kitni der talak,
main sanaato ko takta hu..
Haa fir bhi hastaa hu..

Kabhi shaam ki thakan jaisa..
Kabhi subha ki khushboo jaisa..
Her lamhaa gintaa huaa..
Me thodi der khud me simat jaata hu..
Apne kadmo ki aahat suntaa hu..
Bhid me jab gum ho jaataa hu..
Kabhi suntaa hu khud ko..
Kabhi khud se hi naraz sa ho jataa hu..
Haa fir bhi hastaa hu..


Written by Dev Verma..

No comments:

Post a Comment