Tuesday, 28 April 2015

Bichhde jo tumse to jinda hai..












Bichde jo tumse to jinda hai..
Issi khaayal me..
Kabhi to wo shaam lautegi..
Kabhi wo lamba rasta hoga..
Kabhi un andheri sadko pe
Roshni se fir se wasta hoga..
Bichde jo tumse to jinda hai..
Issi khayal me..

Kabhi to chhat pe wo,

Wapas gujra kal milega..
Kabhi to chai k paylo me fir se,
mitha ahsaas tera ghulega.
Ghar ke darwaajo pe wo dastak fir se hogi..
Koi dabe paao mujhse milne fir se aayega..
Bichde jo tumse to jinda hai..
Issi khayal me..

Kabhi apne kal me thodi der ghoom aata hu..

Sabkuch waisa hi rakha hai..
thoda tuta, thoda saja hua..
Wahaain din bhi waise hi rakhe hai,
Uljhe hue..
Wo ladai jhagde bhi kone me chup chaap hai,
pade hue..
Tum bhi kabhi ho aana wahaain..
Thodi dhool hatane ki jarurat hai sayad..
Sabkuch chamak jaayega..
Mene kuch bhi chuaa nahi hai..
Tere hone ka ahsaas aaj bhi hai wahaain.
Hamare saath bitaye pallo me..
Bichde jo tumse to jinda hai..
Issi khaayal me..


Written by Dev Verma..


No comments:

Post a Comment