Thursday, 25 June 2015

Tu nahi hai...



























Kehne ko mere paas,
lafjo ki gathri hai..
Bayaan karne ko mere paas,
teri yaad sandli hai..

Tere hone ki Khushfamiyaa hai..
Teri baaton ki narmiyaan hai..
Tere aankho ke sharaare hai..
Tere khaawo ki tasaliyaan hai..
Per tu nahi hai..
Haa jaantaa hu tu nahi hai..
Mere paas, sirf tu nahi hai..

Jehen me uljhe saawaalo ki raakh hai..
Tujhse mile dil pe ab tak her wo chak hai.. 
Mere paas intzaar ki ghadiyaan hai..
Mere paas aansuyo ki jhaadiyaan hai..
Haamari baaton ki khaamoshiyaan hai..
Saath bitaaye paalo me sadiyaan hai..
Per tu nahi hai..
Haa jaantaa hu tu nahi hai..
Mere paas, sirf tu nahi hai..

Written by Dev Verma..

Firse wahi sard ratein.
























Firse wahi sard ratein..
Firse bas teri yaadain..
Jahan me basi wo mulakatain..
Fir yaad aati teri mithi batain..
Aur me tanhaa... aur me tanha 
Tere bina..

Milo sa lamba fasla tujh tak..
Khamoshiyon ke hai base sanate..
Dekhaa nii tujhko muddato se..
Ankho me chubhte gaalo se riste..
Ashq bhi ruthe mujhse ye ankho se beh jaate..
Aur me tanhaa... aur me tanha 
Tere bina..

Aakhiri khawish hai meri tujhse..
Tum yu na mujhe yaad aayaa karo..
Ab jo saath nii humtum,
Tum Khaalish si dil ko de jaate..
Aur me tanhaa... aur me tanha 
Tere bina..

Written by Dev Verma

Monday, 22 June 2015

Never give up..


















You can walk or you can run. Its your choice. If you have faith on your dreams. If you believe dreams come true. So never be afraid to dream. Because your dreams lead you towards your destination.


'Khaaw bhi kabhi sitaro se chamak jaate hai..
Jo pyaas ho manjil ki, safar ko bhi pankh lag jaate hai..
Uljhane jahen ki suljha na tu, bas chalta chal...
Rakh yakin khud pe, Raste khud sulajh jate hai..

Written by Dev Verma..

Thursday, 11 June 2015

Love what you do and do what you love.


























Sometimes, 'Be a photographer' spirit in me come out and inspired me to click something. It happens rarely with me. This vital spark leads me towards happiness. I feel very good when i randomly capture something. i always try to feel that moment so that i can cherish it forever. After seeing it so many times in my 'picture gallery', i love every tiny details which i can see in the picture which make my eyes twinkle like stars. I feel very good.   

Life is all about to explore yourself, and i am doing it. I do things which makes me exhilarate, these all are the things which keep me alive. So i always try to get some wee moment for myself and do things which i love.


I believe, this life is given to us to create it big. So dream more and enjoy every moment of it. You can choose anything which you like.



Love what you do and do what you love.


Written by Dev Verma..







Sunday, 7 June 2015

Tere Bina... Tere Bina,



























Tere Bina... Tere Bina,
Rutha hai mujhse Rab mera..
Tere Bina... Tere Bina,
Suna hai ye dil mera..
Tere Bina.. Tere Bina..


Tu  jo ab sang nahi..
Ab kahan meri jindgi..
Ruthi hai mujhse her khushi..
Her mod pe hai teri kami..
Tere Bina... Tere Bina,

Khamoshiyon ko chun liya..
Ab me dhadakta hi nahi hu..
apne hi saye me gum..
Ab me chamakta hi nahi hu..

Bejuban si takleef rehti hai juban pe..
me apne me rehta hi nahi hu..

Tere Bina... Tere Bina,
Rutha hai mujhse Rab mera..
Tere Bina... Tere Bina,
Suna hai ye dil mera..
Tere Bina.. Tere Bina..

hona chahe ruh meri fanaa.
jalta hai dil mere yahn..
Tapkta hai ankon se dhuyan..
Suna hai ye dil mera..
Tere bina.. tere bina..




Written By Dev Verma..

Haa fir bhi hasta hu..













Me khud me bujhta hu roz..
Aur fir thodi der khomoshi me..
Moti jaise bikharte dekha hai,
mene khud ko khud me..
Naa jaane kitni der talak,
main sanaato ko takta hu..
Haa fir bhi hastaa hu..

Kabhi shaam ki thakan jaisa..
Kabhi subha ki khushboo jaisa..
Her lamhaa gintaa huaa..
Me thodi der khud me simat jaata hu..
Apne kadmo ki aahat suntaa hu..
Bhid me jab gum ho jaataa hu..
Kabhi suntaa hu khud ko..
Kabhi khud se hi naraz sa ho jataa hu..
Haa fir bhi hastaa hu..


Written by Dev Verma..