Aaj intzaar karta raha lakin,
Ankhon se do pal bhi na barsaat hui..
Humesha se sunta rehta tha ki,
Dil tutega to ankhon se samander bahega..
Jaise neer ko ab koi peer hi nahi,
Badal to hai lakin barsaat hi nahi..
Dil tutne ke kisse sunaa krta tha me..
Lakin aaj jaana dil kabhi kabhi tutta nii,
Bas bikhar jaata hai..
Kanch ki taraha lakin be-awaaj..
Jahan saanso ki fusphusahat to hoti hai magar,
Baagi samander si lehre nii uthti..
Bas khamoshiya sanjida ho jaati hai...
Jahan jeene ka ahsaas maut se kam nii hota..
Bas ek tapish hoti hai wahan..
Jahan khawahishe sard hoti hai..
Kuch gujar jaata hai hum se ahishta sa..
Wo chahte Beshaqal to hoti hai lakin beparda nahi hoti..
Janha raakh to hoti hai lakin aag nahi hoti..
Aaj intzaar karta raha lakin,
Ankhon se do pal bhi na barsaat hui..
Written by Dev Verma...
No comments:
Post a Comment