Tuesday 5 June 2018

Udasiyon ki shaame..


























Udasiyon ki shaame,
sannato ki raatain,
Jab koi na mila,
khud se hi ki kuch baatain..
Jab koi raaz hi nahi,
fir khudko kya hum bataate..
Chhalkte her kadam pe,
Hosh bhi mujhme yun hi kho jaate..
Rakh ke sine pe apne hazaaro gum,
Teri yaadon ko kyu hum bulaate,
Udasiyon ki shaame,
sannato ki raatain,
Jab koi na mila,
khud se hi ki kuch baatain..
Itni der kyun hui, itna gehra kyun tha,
Samander tha magar, thehra kyun tha..
Me dubne ki chah me nikla tha aaj,
Teri aankhon ka mujhpe pehra kyun tha..
Tune aawaj na di kabhi,
na jaane diya,
Tera humraaz tha fir bhi,
Na raaz diya..
Dil mera bujh jaaye,
Me dub jaau tujhme..
Sharab aag hai aaisi,
Me jal jaau usme..
Kabhi to bhulne de,
Mujhko kaid se aazad kar..
Tu mere saamne ho,
Mujhse der tak baat kar..
Hum bhi to kabhi tere chahre se,
Teri jhulfo ko haatatain.
Udasiyon ki shaame,
sannato ki raatain,
Jab koi na mila,
khud se hi ki kuch baatain..


Written by Dev Verma...

No comments:

Post a Comment