Jahain tum her ek lamhaa her chiz ko aaise nihaaro,
Jaise me tumhe nihartaa hu...
Jahain tum khud ko bhul jaao..
Jahain tum khud ko un saare hisso se,
Judaa juda sa mehsus kar sako..
jahain tum her ek lamhaa her chiz ko aaise nihaaro,
Jaise me tumhe nihartaa hu...
Jab tum safed barf ke samander ko,
Apni hatheliyo se chhuo..
Or wo safedi tumhare gulabi honto ko jama se de..
Safed barish me tum apni muskurahat ko,
Asmaan ki taraf bikher do.
Jaise ki tum iss barish ka,
Sadiyo se intzàr kar rahin thi..
Tum apne kapte haatho se, Barf ko apni hatheliyo pe,
Rakh k uske ahsaas ko khud me pighalne do..
Or tumhari ankho me chamakti wo thandak,
Or us ahsaas ki garmi ko sirf me dekh saku..
Haa Me tumhare saath duniyaa ka her ek kona,
Her wo jagaha ghumna chahtaa hu..
Jahan tum khush ho..
Or me tumhe khush dekh k khush ho jau..
jahain tum her ek lamhaa her chiz ko aaise nihaaro,
Jaise me tumhe nihartaa hu...
Me tumhare saath un pile maidaano me,
Daudnaa chahta hu..
Me tumko pakadna chahta hu..
Me un pili sarso ko tumhare hatho me,
Rakhna chahta hu..
Tumko dekhna chahta hu uss samye me..
Tumko baago m koyal ko gaata sun k,
Tumhe gungunata hua sunnaa chahta hu me..
Tumhe barish me mor ke piche bhagte huaa,
Dekhna chahta hu me..
Jaise ki tumne kabhi ye lamha jiya hi nahi.
Jaise tumne kabhi wo pahle kiya hi nahi.
Jaise tum utni khush kabhi hui hi nahi...
Haa Me tumhare saath duniyaa ka her ek kona,
Her wo jagaha ghumna chahtaa hu..
Jahan tum khush ho..
Or me tumhe khush dekh k khush ho jau..
jahain tum her ek lamhaa her chiz ko aaise nihaaro,
Jaise me tumhe nihaarta hu..
Me tumhare saath samander me dubte,
Uss aag k gole ko dekhna chahta hu..
Jo pal pal samander ki bahon me,
Samata jaa raha hai.
Jaise aaj pahli baar wo sama raha ho,
Na jaldi hai samane ki na darr hai deri ka.
Usko bhi maalum ho jaise ki pure din
khud ko jalane ke baad,
Bas wo issi lamhe ka hi to intzar karta hai..
Din bhar ki thakan k baad wo yahi to karna chahta hai..
Or fir jaise ki paani me samaa ke aaise bujh jaaye,
Jaise fir kabhi na wo jal sakegaa..
Tum uske bujh jaane k baad bhi samander ko,
Dur talak niharti raho..
Jaise tumhe sakun na mila ho abhi..
Jaise mujhe nii milta chahe tumhe,
Kitna bhi dekh lu me..
Haa Me tumhare saath duniyaa ka her ek kona,
Her wo jagaha ghumna chahtaa hu..
Jahan tum khush ho..
Or me tumhe khush dekh k khush ho jau..
Jahain tum her ek lamhaa her chiz ko aaise nihaaro,
Jaise me tumhe nihartaa hu...
Written by Dev Verma...