ek Suraj dhalne ko hai..
ek chanda ugne ko hai..
din bujhega,
raat sajegi..
aaj fir Aasmaa,
Zami se milne ko hai..
ek Suraj dhalne ko hai..
ek chanda ugne ko hai..
sitare timtimayenge,
kaale saaye bhi chamkenge..
chandani teregi,
hawaao pe lehrati,
phool fizaao me mehkenge..
raat ghategi katra katra,
waqt pighlega halke..
mutthi me bhar ke samander,
zami muh dhoyegi malke.
ek jism zami ka,
Rooh asmaan ki,
done wajud simatne ko hai..
ek Suraj dhalne ko hai..
ek chanda ugne ko hai..
seher ki, aankh khulegi..
rukhsati ka waqt aayega..
kitni baar ruthegi zamin,
kitna aasma usko samjhayega..
Oss ke moti, ankho se tapkenge
tuti maala jese ris jaayenge.
hoga intzaar fir se,
ek suraj ke bhujhne ka.
hoga intzaar fir se,
ek chanda ke ugne ka..
Written by Dev Verma..
good
ReplyDelete