Wednesday, 4 July 2018

कुछ कदमो का फासला।।

कुछ कदमो का फासला बचा है मिटाने को।।
शिक़वा छोड़ हर अपने को गले लगाने को।।

तुम्हे देखती रही खुशियाँ देर तक उदासी में।।
तुम लगे रहे हर गम को फ़िर से मनाने को।।

चंद मिट्टी के खिलौने थे जो बारिश में भीग गये।।
वो किताब का पन्ना ले चला नाव बनाने को।।

जितनी सारी चाहते थी उतना ही दर्द मिला।।
कौंन ये बतलाये क्या वज़ह थी मुस्कुराने को।।

चलो एक कोशिश तो करो, फ़िर एक बार उठो।।
लड़ो खुद से हर दफ़ा हर बार ख़ुद को हराने को।।

Written by Dev Verma...

Tuesday, 5 June 2018

Adatan ek adat...


















Adatan ek adat rahi meri.
Khamoshiyon me khamosh raha hu main..

Pair gile hue the dariyan ke paani me.
Jindgibhar chalta hi raha hu main..

Gunguna sa ahsaas dhup me mukkamal hai.
Sukha libas tan pe lipta raha..

Chand khushiyon me thehra hai sabkuch.
Waqt se pal mangta raha hu main..

Sard hawaao ki manind  gujra hu chhu ke.
Tujhe tujhse hi mangta raha hu main..

Adatan ek adat rahi meri.
Khamoshiyon me khamosh raha hu main..

Pair gile hue the dariyan ke paani me.
Jindgibhar chalta hi raha hu main..

Written by Dev Verma...

Kitne dino baad mila hu tumse..




















Kitne dino baad mila hu tumse..
Sabkuch pahle jaisa hi hai..
sabkuch waisa hi rakha hai..

Mujhse aaj bhi samjh  nahi aata..

Jab tumhe jaana hi tha,
tum wapas aaye kyun..

Tum bilkul khaali pahle ki taraha.

Tumhari aankhe tumhari baatan
Tumhari rooh tak khaali..
Jaise koi nahi rehta wahan..
Sadiyo se khaali, ujda, viraan sa..
Kitne dino baad mila hu tumse..
Sabkuch pahle jaisa hi hai..
sabkuch waisa hi rakha hai..

Written by Dev Verma...




Chalte rehna..

























Bas ab mujhe hai chalte rehna..
Thamna nahi, hai chalte rehna..
Ye safar hai mera.
Rasta hai mera..
Jagti aankhon me.
Khaaw hai mera..
Manjilo ki parwaah kise hai..
Sahil ki talaash ab kise hai..
Dhup bhi narm si lagti hai..
Ab rukne ki chah kise hai..
Khatam hota ni,
Jism thakta ni.
Chalte rehna hi agaaj sa lagta hai..
Manjilo se aage mera jahan lagta hai..
Ye safar hai mera.
Rasta hai mera..
Jagti aankhon me.
Khaaw hai mera..
Bas ab mujhe hai chalte rehna..
Thamna nahi, hai chalte rehna..


Written by Devverma ...

Udasiyon ki shaame..


























Udasiyon ki shaame,
sannato ki raatain,
Jab koi na mila,
khud se hi ki kuch baatain..
Jab koi raaz hi nahi,
fir khudko kya hum bataate..
Chhalkte her kadam pe,
Hosh bhi mujhme yun hi kho jaate..
Rakh ke sine pe apne hazaaro gum,
Teri yaadon ko kyu hum bulaate,
Udasiyon ki shaame,
sannato ki raatain,
Jab koi na mila,
khud se hi ki kuch baatain..
Itni der kyun hui, itna gehra kyun tha,
Samander tha magar, thehra kyun tha..
Me dubne ki chah me nikla tha aaj,
Teri aankhon ka mujhpe pehra kyun tha..
Tune aawaj na di kabhi,
na jaane diya,
Tera humraaz tha fir bhi,
Na raaz diya..
Dil mera bujh jaaye,
Me dub jaau tujhme..
Sharab aag hai aaisi,
Me jal jaau usme..
Kabhi to bhulne de,
Mujhko kaid se aazad kar..
Tu mere saamne ho,
Mujhse der tak baat kar..
Hum bhi to kabhi tere chahre se,
Teri jhulfo ko haatatain.
Udasiyon ki shaame,
sannato ki raatain,
Jab koi na mila,
khud se hi ki kuch baatain..


Written by Dev Verma...

Tuesday, 20 February 2018

Kabhi..


















Kabhi ret sa ban fisal jaao
Band muthi se,
Kabhi waqt ban ke theher jaao..
Asmaan ki had kya hai
Gar jaanna chahto ho,
Ban ke parinda baadlo pe ithlaao..
Chamchamti dhup me
aksar jo chamkta hai..
Kabhi Utaar ke naqab mil aao..
Tum aaye gaye her dafa itne karib,
Koi jhutti muthi kasam to uthaao
..

By Dev Verma

Tuesday, 26 December 2017

बरसात की एक शाम




Barsat ki ek shaam..
Ab or kyaa bataau wo shaam kyaa thi..
Me thaa or wo thi jo sirf meri duniyan thi..
Barish ki boonde uske baalo se tapakti hui 
uske chehre ko chum rahi thi..
Or chehre pe roshni kai rango ke 
indradhanush bana rahi thi..
Me usse gussa thaa fir bhi to usse 
dekhta hi jaa rahaa thaa..
Kyun naa dekhu apni hasi duniyan ko..
Uske kapte haatho ko pakad bhi naa saka..
Sayad Gussa jaaydaa thaa uss samaye mujhe..
Or Wo to pagli khush thi ki me milne aa gayaa bas..
Kal hi to hum lade the ki wo milna chahti thi or 
mene usse manaa bhi kiyaa 
ki me nii aa sakta.. Lakin fir bhi wo aayi..
Kitnaa gussa huaa thaa me usspe ki nii milnaa hai..
Lakin wo kuch sunti kahain thi..
Mujhse milne itni dur se aayi..
Gharwaalo se jhutt bolke jo aayi..
Usse to bas milnaa hotaa hai..
jaise wo mujhe dekhegi nii to uski itni 
khubsurat shaam jo khaarab ho jaayegi..
Usse dikhanaa bhi to thaa ki usse 
mujhse kitni mohabbat hai..
Barasat ki ek shaam mujhe pataa chalaa tha 
ki pyaar dikhayaa bhi jaataa..
Barsat ki ek shaam..
Wo bhi ek shaam thi..


Written by Dev Verma…

Monday, 20 November 2017

Koi piche reh gaya...
















========xxx========

Koi piche reh gaya,
koi saath chala..
Karwa ban jindgi,
bas yun hi chalti rahi..
Thodi shikayatein rahi,
thoda parhej bhi raha..
Tane bano me jindgi,
Yun hi kal apna bunti rahi..
Mere alfaaj dhundh lete hai tere pata,
Mere khawo ko teri khushboo ka pata rehta hai..
Dil ka koi kona rahta hai sard,
Juba pe garm ahsaas tera rehta hai..
Kabhi meri dhadkan jale,
Kabhi meri saans jale..
Teri ankhon ki khamoshiyan,
Mujhme thehri rahi..
Koi piche reh gaya,
koi saath chala..
Karwa ban jindgi,
bas yun hi chalti rahi..


Written by Dev Verma...

Wednesday, 8 November 2017

Aaj intzaar karta raha

















Aaj intzaar karta raha lakin,
Ankhon se do pal bhi na barsaat hui..
Humesha se sunta rehta tha ki,
Dil tutega to ankhon se samander bahega..
Jaise neer ko ab koi peer hi nahi,
Badal to hai lakin barsaat hi nahi..
Dil tutne ke kisse sunaa krta tha me..
Lakin aaj jaana dil kabhi kabhi tutta nii,

Bas bikhar jaata hai..
Kanch ki taraha lakin be-awaaj..
Jahan saanso ki fusphusahat to hoti hai magar,
Baagi samander si lehre nii uthti..
Bas khamoshiya sanjida ho jaati hai...
Jahan jeene ka ahsaas maut se kam nii hota..
Bas ek tapish hoti hai wahan..
Jahan khawahishe sard hoti hai..
Kuch gujar jaata hai hum se ahishta sa..
Wo chahte Beshaqal to hoti hai lakin beparda nahi hoti..
Janha raakh to hoti hai lakin aag nahi hoti..
Aaj intzaar karta raha lakin,
Ankhon se do pal bhi na barsaat hui..



Written by Dev Verma...

Wednesday, 25 October 2017

Bas Likhte Raho




















Kalam ki akhri saans tak likho,
kagaj ke akhri padaaw tak likho..
jaha tak na raahte khatam ho,
tum us akhri chaanw tak likho..
Dard ki intha likho,
Mohobbat ki dastan likho..
Apno ke diye dard likho,
Parayo se hui baatain likho..
Her aah likho,
Paayi her wah wah likho..
Koi mushkile jo likho,
Suljha Rasta bhi likho..
Bas likhto raho..
Bas likhte raho..
Kalam ki akhri saans tak likho,
kagaj ke akhri padaaw tak likho..
jaha tak na raahte khatam ho,
tum us akhri chaanw tak likho..


By Dev Verma
http://devtheonlyone.blogspot.in
https://www.facebook.com/dev.verma.18041

Monday, 16 October 2017

Ye jaruri to nahi...


                             ======xxx======

Jo mujhe chahega 
Wo mujhe paa hi lega..
Jise me chahunga 
Usse Kho hi dunga..

Ye jaruri to nahi
Ki me haath uthau aur
Chand ko chhu lu..

Ye jaruri to nahi
Wo haath badaye aur me 
Uska haath na thamu..


Kuch fasle nazdikiyo se ho jaate hai
Duriyon me to bas intzaar hota hai..


Written Dev Verma...

Monday, 11 September 2017

कभी लफ्ज़






















कभी लफ्ज़ छुटते है 
            कभी अहसास छुट जाते है ||
भीड़ में साथ हो जब भी हम तुम
            क्यूँ फिर भी हाथ छुट जाते है ||
वो काट लेता है रातें अपनी 
            वो काट लेता है अपनी तन्हाई ||
जो हम न करे याद उसे कभी 
           जो हम न करे फरियाद उससे कभी |
हमारी इबादत टूटती है 
            कभी हमारे रिवाज़ टूट जाते है ||
कभी लफ्ज़ छुटते है 
            कभी अहसास छुट जाते है ||
भीड़ में साथ हो जब भी हम तुम
            क्यूँ फिर भी हाथ छुट जाते है ||

गुलों सा नम वो भी है 
            बागवान सा गुलज़ार वो भी है ||
किसी के गीत का मरहम वो 
            किसी ग़ज़ल में इबारत वो भी है ||
कई परतो में वो लिपटा है 
            कई आस्मां में वो सिमटा है ||
जो हम ना बिखरे तो उलझे है 
           जो हम ना सुलझे तो पागल है ||
कई मुददतो से प्यासा है 
           कभी सेहरा तो कभी समंदर है ||
वो जो भी है सही है
           हम जो भी है गलत है ||
कभी हमारे गुमां टूटते है 
           कभी हमारे हर खयाव टूट जाते है ||
कभी लफ्ज़ छुटते है 
            कभी अहसास छुट जाते है ||
भीड़ में साथ हो जब भी हम तुम
            क्यूँ फिर भी हाथ छुट जाते है ||


Written by Dev Verma




Wednesday, 6 September 2017

गुज़र जाएगी हर तकलीफ मेरी















गुज़र जाएगी हर तकलीफ मेरी,
        मंजिल पाते पाते।।
हुआ जो दर्द कभी,
        सह लेंगे जाते जाते।।
कभी पत्थरो से उलझ जाएंगे कदम,
        कभी कांटो की चुभन होगी।।
मिलेंगी रुकावटें हर कदम,
         तन्हाई भी मेरी कहीं होगी।।
टेड़े मेढे रास्तो पे,
         थक्कन भी कहीं होगी।।
यूँ तो आसान हमारी भी
          रहगुज़र ना कहीं होगी।।
मिले जो रास्तो पे फूल तो पत्ता पत्ता चुन लेंगे,
गुनगुनी धूप में बदलो से कहानियां भी सुन लेंगे।।
तुम्हारी शिकायते भी करेंगे बरसते पानी से,
रातभर चाँद निहारेंगे, तुम्हे भी याद कर लेंगे।।
जानता हूं वक़्त सिमट जाएगा यूँ ही,
में कह दूंगा सब तुम्हे यूँ ही
हाले दिल अपना सुनाते सुनाते।।
गुज़र जाएगी हर तकलीफ मेरी,
        मंजिल पाते पाते।।
हुआ जो दर्द कभी,
        सह लेंगे जाते जाते।।


Written by Dev Verma

Thursday, 31 August 2017

Me tujhme nahi...
















Me tujhme nahi,
     Tu mujhme nahi..

Me khaali hu khudme,
     Tu bhi khud me shaamil nahi..

Jitne bhi sawaal hai,
     Utne hi jawaab hai..
Tere mere dil me fir bhi
     Kitne ahsaas hai..

Lafzo me simte nahi,
     Ankhon me piroye nahi..
Rango me uljhe bikhre,
     Ye kaise jazwaat hai..

Me tujhme nahi,
     Tu mujhme nahi..
Me khaali hu khudme,
     Tu bhi khud me shaamil nahi..


Written by Dev Verma...

Thursday, 20 April 2017

में तुमसे इश्क़ करू तो कैसे करू...

में तुमसे इश्क़ करू तो
            कैसे बयाँ करू
मगरूर हो चके अल्फ़ाज़
             मेरे अब तुम्हारी तरहा।।
चुभते है कांटे उँगलियों में
             गहरे इस कदर
तुमने रखा हो मेहफूज खुद को
             जैसे गुलाब की तरहा।।
जब भी मिला तुमसे
              हासिल हुआ इतना
फूल रखा हो क़िताब में
               जैसे एक याद की तरहा।।
मंजिल की दौड़ में
               किनारों से दूर जा निकला
गुमनाम रह गया तुझमे
               बस एक नाम की तरहा।।
में तुमसे इश्क़ करू तो
            कैसे बयाँ करू
मगरूर हो चके अल्फ़ाज़
             मेरे अब तुम्हारी तरहा।।

Written by Dev Verma...

Tuesday, 11 April 2017

Kuch kam kijiye kabhi..
























Dil ka bojh to kuch
             kam kijiye kabhi..
Nafrat, shikwe, shikayat 
            kuch kam kijiye kabhi..

Ummido ki aag laga ke
            rakha kijiye janaab..
Do pal ki to hai jindgi 
            jee lijiye kabhi..

Kon kehta hai takdir 
            me likha hi milegaa..
Dil se bhi kuch 
             feshle to kijiye kabhi..

Magrur ho jaati hai mohobbat
             jhutti himaayato se..
Ishq hai to sachi baat
             bhi kijiye kabhi..

Parinde ki jaat hai
             udne dijiye miya..
Daano ki mohtaaz nii 
             samjha kijiye kabhi..

Dil ka bojh to kuch
             kam kijiye kabhi..
Nafrat, shikwe, shikayat 
            kuch kam kijiye kabhi..


Written by Dev Verma...

Monday, 20 March 2017

Few words

Chahe jitne bhi tere dard hai
thoda muskura to sahi..
In gumgin andheri raaton me
Ummido ka diya jala to sahi..

Thursday, 13 October 2016

Labo se muskurane ka julm



























Labo se muskurane ka 
                     julm na kar,
Aashiqo ki hadd se gujar
                    jaane pe ban aayi hai..

Tumhare aane se hi 
                   mehfil me aaya tha sukun,
Tumhare jaane se hi
                   saanso ko saans aayi hai..

Chalte hue kadmo ke
                   nishaan na chhoda karo sahil pe,
Tumhe chhune ki hasrat me
                   dariya ne fir se li angdai hai..

Tu khaaw hai mera 
                   tasabur hai mera tujhse,
Baat lafjo se chhann ke
                   honto se nikal aayi hai..

Ek jism pehna hai 
                   jo tujhse pakija hai,
Ek ruh hai meri 
                   jisme tu samai hai..

Labo se muskurane ka 
                   julm na kar,
Aashiqo ki hadd se gujar
                   jaane pe ban aayi hai..

Tumhare aane se hi 
                   mehfil me aaya tha sukun,
Tumhare jaane se hi
                   saanso ko saans aayi hai..


Written by Dev Verma...



Sunday, 18 September 2016

Ek Saans Bhaari Si...


















Ek saans bhaari si, 
Koi baat uljhi ho jaise jehen me..
Awaajo ki kapkapahato si,
Koi ummid bikhri ho jaise nazar me..
Tum kal chale jaaoge unhi,
Bina ankhon me utre hue..
Tum kal chale jaaoge unhi,
Bina haatho ko chhuye hue..

Wo manjar darawna to hoga,
Jab unhi chale jaaoge tum..
Mujhe apne hisse me se,
Sirf apni yaad de jaaoge tum..


Ek chaand pura na utra,
Ek puri subha ne angdaai na li uth ke..
Tumne kholi do ankhen yun apni,
Jaise jugnu jaage ho muddato se..
Aur fir mujhe hi dekhna,
Aur fir bas dekhte rehna..
Apni ankhon se lafj girana takiye per,
Labo se fir bhi na kuch kehna..
Ek saans bhaari si,
Koi baat uljhi ho jaise jehen me..
Awaajo ki kapkapahato si,
Koi ummid bikhri ho jaise nazar me..



Written by Dev Verma…