Wednesday 4 July 2018

कुछ कदमो का फासला।।

कुछ कदमो का फासला बचा है मिटाने को।।
शिक़वा छोड़ हर अपने को गले लगाने को।।

तुम्हे देखती रही खुशियाँ देर तक उदासी में।।
तुम लगे रहे हर गम को फ़िर से मनाने को।।

चंद मिट्टी के खिलौने थे जो बारिश में भीग गये।।
वो किताब का पन्ना ले चला नाव बनाने को।।

जितनी सारी चाहते थी उतना ही दर्द मिला।।
कौंन ये बतलाये क्या वज़ह थी मुस्कुराने को।।

चलो एक कोशिश तो करो, फ़िर एक बार उठो।।
लड़ो खुद से हर दफ़ा हर बार ख़ुद को हराने को।।

Written by Dev Verma...

Tuesday 5 June 2018

Adatan ek adat...


















Adatan ek adat rahi meri.
Khamoshiyon me khamosh raha hu main..

Pair gile hue the dariyan ke paani me.
Jindgibhar chalta hi raha hu main..

Gunguna sa ahsaas dhup me mukkamal hai.
Sukha libas tan pe lipta raha..

Chand khushiyon me thehra hai sabkuch.
Waqt se pal mangta raha hu main..

Sard hawaao ki manind  gujra hu chhu ke.
Tujhe tujhse hi mangta raha hu main..

Adatan ek adat rahi meri.
Khamoshiyon me khamosh raha hu main..

Pair gile hue the dariyan ke paani me.
Jindgibhar chalta hi raha hu main..

Written by Dev Verma...

Kitne dino baad mila hu tumse..




















Kitne dino baad mila hu tumse..
Sabkuch pahle jaisa hi hai..
sabkuch waisa hi rakha hai..

Mujhse aaj bhi samjh  nahi aata..

Jab tumhe jaana hi tha,
tum wapas aaye kyun..

Tum bilkul khaali pahle ki taraha.

Tumhari aankhe tumhari baatan
Tumhari rooh tak khaali..
Jaise koi nahi rehta wahan..
Sadiyo se khaali, ujda, viraan sa..
Kitne dino baad mila hu tumse..
Sabkuch pahle jaisa hi hai..
sabkuch waisa hi rakha hai..

Written by Dev Verma...




Chalte rehna..

























Bas ab mujhe hai chalte rehna..
Thamna nahi, hai chalte rehna..
Ye safar hai mera.
Rasta hai mera..
Jagti aankhon me.
Khaaw hai mera..
Manjilo ki parwaah kise hai..
Sahil ki talaash ab kise hai..
Dhup bhi narm si lagti hai..
Ab rukne ki chah kise hai..
Khatam hota ni,
Jism thakta ni.
Chalte rehna hi agaaj sa lagta hai..
Manjilo se aage mera jahan lagta hai..
Ye safar hai mera.
Rasta hai mera..
Jagti aankhon me.
Khaaw hai mera..
Bas ab mujhe hai chalte rehna..
Thamna nahi, hai chalte rehna..


Written by Devverma ...

Udasiyon ki shaame..


























Udasiyon ki shaame,
sannato ki raatain,
Jab koi na mila,
khud se hi ki kuch baatain..
Jab koi raaz hi nahi,
fir khudko kya hum bataate..
Chhalkte her kadam pe,
Hosh bhi mujhme yun hi kho jaate..
Rakh ke sine pe apne hazaaro gum,
Teri yaadon ko kyu hum bulaate,
Udasiyon ki shaame,
sannato ki raatain,
Jab koi na mila,
khud se hi ki kuch baatain..
Itni der kyun hui, itna gehra kyun tha,
Samander tha magar, thehra kyun tha..
Me dubne ki chah me nikla tha aaj,
Teri aankhon ka mujhpe pehra kyun tha..
Tune aawaj na di kabhi,
na jaane diya,
Tera humraaz tha fir bhi,
Na raaz diya..
Dil mera bujh jaaye,
Me dub jaau tujhme..
Sharab aag hai aaisi,
Me jal jaau usme..
Kabhi to bhulne de,
Mujhko kaid se aazad kar..
Tu mere saamne ho,
Mujhse der tak baat kar..
Hum bhi to kabhi tere chahre se,
Teri jhulfo ko haatatain.
Udasiyon ki shaame,
sannato ki raatain,
Jab koi na mila,
khud se hi ki kuch baatain..


Written by Dev Verma...

Tuesday 20 February 2018

Kabhi..


















Kabhi ret sa ban fisal jaao
Band muthi se,
Kabhi waqt ban ke theher jaao..
Asmaan ki had kya hai
Gar jaanna chahto ho,
Ban ke parinda baadlo pe ithlaao..
Chamchamti dhup me
aksar jo chamkta hai..
Kabhi Utaar ke naqab mil aao..
Tum aaye gaye her dafa itne karib,
Koi jhutti muthi kasam to uthaao
..

By Dev Verma

Tuesday 26 December 2017

बरसात की एक शाम




Barsat ki ek shaam..
Ab or kyaa bataau wo shaam kyaa thi..
Me thaa or wo thi jo sirf meri duniyan thi..
Barish ki boonde uske baalo se tapakti hui 
uske chehre ko chum rahi thi..
Or chehre pe roshni kai rango ke 
indradhanush bana rahi thi..
Me usse gussa thaa fir bhi to usse 
dekhta hi jaa rahaa thaa..
Kyun naa dekhu apni hasi duniyan ko..
Uske kapte haatho ko pakad bhi naa saka..
Sayad Gussa jaaydaa thaa uss samaye mujhe..
Or Wo to pagli khush thi ki me milne aa gayaa bas..
Kal hi to hum lade the ki wo milna chahti thi or 
mene usse manaa bhi kiyaa 
ki me nii aa sakta.. Lakin fir bhi wo aayi..
Kitnaa gussa huaa thaa me usspe ki nii milnaa hai..
Lakin wo kuch sunti kahain thi..
Mujhse milne itni dur se aayi..
Gharwaalo se jhutt bolke jo aayi..
Usse to bas milnaa hotaa hai..
jaise wo mujhe dekhegi nii to uski itni 
khubsurat shaam jo khaarab ho jaayegi..
Usse dikhanaa bhi to thaa ki usse 
mujhse kitni mohabbat hai..
Barasat ki ek shaam mujhe pataa chalaa tha 
ki pyaar dikhayaa bhi jaataa..
Barsat ki ek shaam..
Wo bhi ek shaam thi..


Written by Dev Verma…