Tuesday 26 December 2017

बरसात की एक शाम




Barsat ki ek shaam..
Ab or kyaa bataau wo shaam kyaa thi..
Me thaa or wo thi jo sirf meri duniyan thi..
Barish ki boonde uske baalo se tapakti hui 
uske chehre ko chum rahi thi..
Or chehre pe roshni kai rango ke 
indradhanush bana rahi thi..
Me usse gussa thaa fir bhi to usse 
dekhta hi jaa rahaa thaa..
Kyun naa dekhu apni hasi duniyan ko..
Uske kapte haatho ko pakad bhi naa saka..
Sayad Gussa jaaydaa thaa uss samaye mujhe..
Or Wo to pagli khush thi ki me milne aa gayaa bas..
Kal hi to hum lade the ki wo milna chahti thi or 
mene usse manaa bhi kiyaa 
ki me nii aa sakta.. Lakin fir bhi wo aayi..
Kitnaa gussa huaa thaa me usspe ki nii milnaa hai..
Lakin wo kuch sunti kahain thi..
Mujhse milne itni dur se aayi..
Gharwaalo se jhutt bolke jo aayi..
Usse to bas milnaa hotaa hai..
jaise wo mujhe dekhegi nii to uski itni 
khubsurat shaam jo khaarab ho jaayegi..
Usse dikhanaa bhi to thaa ki usse 
mujhse kitni mohabbat hai..
Barasat ki ek shaam mujhe pataa chalaa tha 
ki pyaar dikhayaa bhi jaataa..
Barsat ki ek shaam..
Wo bhi ek shaam thi..


Written by Dev Verma…