Sunday 12 July 2015

YEH.. BAARISSHH..

YEH..BAARISSHH..

Aur tum...

Koi bheeg raha hai,
koi bheega raha hai,
Mausam haal dil ka suna raha hai..

Geet gungunati hawa,
chhu le jo jism tera.

Jhuk ke kali ghataa,
jo chhum le haath tera..

tere zulfo se tapkti barish ki boonde..
tujhme simatti ye barish ki boonde..

tera bhar lena hatheli pe,
Pighla badal aasmaan ka..
mere dil ki zurrat bata raha hai..
Mausam haal dil ka sunna raha hai..

Koi bheeg raha hai,
koi bheega raha hai,
Mausam haal dil ka suna raha hai..

Written by Dev Verma..

Wednesday 8 July 2015

Haa tum yaad aate ho..












Bhigna kabhi barish ki boondo me,
Kabhi bhar lena okh me apni hatheliyo pe..
kabhi tapkte hue shital angaro ko dekhna khud se.
kabhi yaad karna tumko barasti boondo ke pardo se..
haa tum bahut yaad aate ho..

Jindgi bhi in boondo jaisi to hai,
bikharti hai jahain wahan ki ho jati hai,
tum bhi to barse the mujhpe kabhi,
katra katra udela tha tumne khud ko..
fir bhi na ho sake mere..

Written by Dev verma..

Tuesday 7 July 2015

Ho gar izaazat teri..


Bade hi laazmi sabdo me,
             Baat karta hai..
Wo bebak hai fir bhi,
             Lehze se baat karta hai..
Uski khubsurti saadgi me hai,
             Wo jantaa hai..
Fir bhi nazre jhuka ke,
              Wo katleaam karta hai..
Rakhta hai wo raat  ko,
                Apni palko tale.
Sitare jaala ke wo,
                Chand se baat karta hai..


Sochta hu maang lu 
kabhi  Tumko Rab se, 
Ho gar izzazat teri...


Written by Dev Verma

Sunday 5 July 2015

tum mere ho jaao to



















Apne chahre se julfe haatao to,
Apni palko ko thoda jhapkaao to.
Meri aankho me jhaanko umr bhar k liye.
Fir innme hi taa umr reh jaao to.


Apne labo pe naam thaam ke rakho thodi der.
Apne dil ko hamare liye dhadkaao to.
Jo saanso me ghul jaaye chashni sa.
Apne aankho se wo baat keh jaao to.


Haa baan jaao mere,
Puri kar do dua mere dil ki.
Meri aankho se chalko,
banke thandak mere dil ki.
Kabhi shaam aur sehar, apni baaton me.
Mujhko thodaa gungunaao to.


Aa jaao tum karib,
Saanso ka na ho gumaa.
Mera dil ke sahil se jab takraaoge.
Bas fir wahi reh jaao to.
Bas mere ho jaao to.
Tum mere ho jaao to.


Written by Dev verma

Koi ulfat ka nishan nahi..
















koi ulfat ka nishan nahi.
chahre pe nur ka sarmaaya hai..
jism chamakta hai,
honto pe hasi chhalakti hai,
wo shaksh kissi ki yaadon ko piche chhod aaya..

bandisho ki kadiya tuti
ankhon se ladiya chhuti,
waqt ko paro se udta dekh
dard ki dil se manmaaniya ruthi..

tumse mila jo ab me, bejar mausam me bhi..
ek nanha pondha phool ka kone me ug aaya hai..

koi ulfat ka nishan nahi.
chahre pe nur ka sharmaya hai..
jism chamakta hai,
honto pe hasi chhalakti hai,
wo shaksh kissi ki yaadon ko piche chhod aaya..

By Dev Verma

Wednesday 1 July 2015

Kabhi aao tum milne hamse..





















Kabhi aao tum milne hamse
Aaise jahan me ..
Jahain phoolo ka mausam ho..
aur sardi me khili dhup ho..
Kabhi aao tum...
Kabhi do pal k liye chinn ke
dekho khud se khud ko hamaare liye..
Ruthe hai khudse hum na jaane kabse
Sirf tumhare liye..
Kabhi to chand ko niklne do tum
Halke halke kaali ghhatao se ..
Kabhi to tum saawaro chahre se
Apni jhulfe sirf hamaare liye..
Kabhi aao tum..
Kabhi aao tum milne hamse
Aaise jahan me ..
Jahain phoola ka mausam ho..
Or sardi me khili dhup ho..
Kabhi aao tum...


Written by Dev Verma