Wednesday 27 May 2015

Just Breathe..
















Just breathe.. just breathe.
you need this.. so just breathe!!

Whenever you feel pain inside,

Something stuck in your mind. 
Tears are not flowing down ,
But your soul cries in deep sound.
you can't be even in your senses,
it's your life so be your guide.
Life is roller coaster, So Ride..
Just breathe.. just breathe.
you need this.. so just breathe!!

No one else comes to hold you,

Especially the one who torn you.
It's all your fault so deal it,
Rather it will more hurt you.
so many ups and so many downs,
you need to stand for your pride
Life is roller coaster, So Ride..
Just breathe.. just breathe.
you need this.. so just breathe!!

you need to sit with yourself  sometimes.

its better to be sing some rhymes.
let the pain pour out from you,
Be the person who lives in you.
what you like and what you wish,
who can comprehend you.
when everyone stand against you,
only that one can be in your side..
Life is roller coaster, So Ride..
Just breathe.. just breathe.
you need this.. so just breathe!!

Written By Dev Verma...



Monday 25 May 2015

Meri Kahani...














Na koi alfaaz hai..
Naa koi ahsaas hai..
Ek ankahi...
suljhi si uljhi hui..
chand kagajo pe tapki hui..
Badi bedaag si nishaani hai..
Bas itni si meri kahani hai..

Ruhh me kharocho ke nishaan hai..
Her lamha Mom saa pighlaa huaa dil jalaa hai
Roshini si hai bahar, chamkti hui ..
Jism to andhere se bharaa hai..
Na koi junun hai..
Naa koi rawaani hai..
Badi bedaag si nishaani hai..
Bas itni si meri kahani hai..

Waqt ke thapedo se ris rahaa hai..
Chehraa ab mera aaine sa lag rahaa hai..
Log ab puchte nahi haal chaal mere 'dev'..
Her shaksh mujhe akhbaar sa pad rahaa hai..
Fir bhi to muskura ke jindgi bitaani hai..
Badi bedaag si nishaani hai..
Bas itni si meri kahani hai..


Written by Dev Verma..

Monday 18 May 2015

Lafzo k fasle hai..
















Lafzo ke fasle hai..
Lafzo ki hai kami..
Jo alfaaz dil me hai thehre..
Her herf me hai kuch nami..

Haa mujhe alfaaz de tu..
Mujhe aawaaj de tu..
Iss pal me tham jaa..
Meri saanso me ghul jaa..tu...

Kaise honge bayaan
Kuch to de mashwaraa..
Kaise mitegii ye duriyaan..
Khaawo ko tu de gumma..
Haa mujhe alfaaz de tu..
Mujhe aawaaj de tu..
Iss pal me tham jaa..
Meri saanso me ghul jaa..tu...

Ho jab bhi shuru..
Biten naa raaton ka saafar..
Ankhe khule jab tu samne ho..
Or ho ujli seher..
Teri aankhon se dekhu me ye jahan..
Tu jo sawre, ban jaau me aaina..
Haa mujhe alfaaz de tu..
Mujhe aawaaj de tu..
Iss pal me tham jaa..
Meri saanso me ghul jaa..tu...


Written by Dev Verma..

Sunday 17 May 2015

Tu...

Tu thak jaayega apne pe rask karte karte..
Me likhtaa rahunga bas aadaaye teri..
Mene dekha hai kai imaan ko bigadte hue..
jhukke hue siro pe..
Written by Dev Verma..

Saturday 16 May 2015

Relationship..













Love Relationship should be like cigarette..
You always want to have it..
From busy schedule you make time for it..
Which is start from your lips..
and you enjoyed every puff of it..
When it is start becoming ashes.
You puff it more hardly to get it more into it..
After sometimes you cant survive without it..
Best of the part is...it hurts both.. 

Written by Dev Verma..

Monday 11 May 2015

Ek Suraj dhalne ko hai..








































ek Suraj dhalne ko hai..
ek chanda ugne ko hai..
din bujhega,
raat sajegi..
aaj fir Aasmaa, 
Zami se milne ko hai..
ek Suraj dhalne ko hai..
ek chanda ugne ko hai..

sitare timtimayenge, 

kaale saaye bhi chamkenge..
chandani teregi, 
hawaao pe lehrati,
phool fizaao me mehkenge..
raat ghategi katra katra,
waqt pighlega halke..
mutthi me bhar ke samander,
zami muh dhoyegi malke.
ek jism zami ka, 
Rooh asmaan ki,
done wajud simatne ko hai..
ek Suraj dhalne ko hai..
ek chanda ugne ko hai..


seher ki, aankh khulegi..

rukhsati ka waqt aayega..
kitni baar ruthegi zamin,
kitna aasma usko samjhayega..
Oss ke moti, 
ankho se tapkenge
tuti maala jese ris jaayenge.
hoga intzaar fir se,
ek suraj ke bhujhne ka.
hoga intzaar fir se,
ek chanda ke ugne ka..

Written by Dev Verma..

Tera koi nishaan Nahi...




















Ab iss ghar me koi tera nishaan baaki nahi..
Bas chaar diwaare hai aur ek khidki aur me..
Tera koi bharam bhi nahi yahan.

Tumne jabse jehen me chalnaa firna Band kiya hai.

Tumne sanso me ghulna jabse band kiya hai..
Mithas dil ki bhi kadwi ho gayi..
Ab teri yadan hi dawai ho gayi..

Bas aaise hi kuch panchi hai jo,

Yadon ki muder pe baith jaate hai..
Kabhi kabhi teri baataon ke,
Daane chugne aate hai..
Mere pass bhi jayada kuch nahi hota unko dene k liye..
Ha behta hai kuch anshu sa..
Wo usko pite hi nahi..

Unki chahchahaahat samjhne laga hu ab tumhari taraha.. 

Bas mujhse tumhari na-majudgi ka sabab puchte hai..
Me koi jawab de pata nahi..
Bas kho jaata hu..kahi..

Kabhi man ho jata hai halka..

To sochta hu ki tera pata bata dun unko..
Lakin dil darne lag jaata hai..
Kahi unka bhi aana jaana na band ho jaaye..
Unke siwa ab kon aata hai yahan..

Tera jo koi nishaan nahi yahan..



Written by Dev Verma..



Friday 8 May 2015

Her sawal ka jawab itna jaruri bhi nahi..



Her sawal ka jawab itna jaruri bhi nahi..

Mera her alfaaz mere jaisa hai..

kadwa hai lakin, hai Sadgi me lipta hua..
kabhi kabhi me koi jawab bhi nahi deta..
Un sawaalo ke liye meri chuppi hi kafi hai..
Ho sakta hai me un rishto ko bacha raha hu..
Jo me kuch keh du.. atpataa sa..
Jo wajib to hoga..
Lakin mukkamal nahi..
Ye hua hai kai baar.. fir bhi rishte nahi bachte..
Tute hi rehte hai, Judte bhi nahi.
Her sawal ka jawab itna  jaruri bhi nahi..


Lafz thamte nahi..

Chhot gehri karte hai..
Wo puchte kahan hai
Ki dard kahan hai,
Wajaha kya hai..
Bas chhiir dete hai..
Man ko hamare..
Gad jaate hai dil me
Gehrayi tak..
fir chaak dil ke sii te bhi nahi..

Her sawal ka jawab itna jaruri bhi nahi..



written by Dev Verma..





Wednesday 6 May 2015

Only you and Me...













Me tumhare saath duniyaa ka her ek kona,
Her wo jagaha ghumna chahtaa hu..
Jahan tum khush ho.. 
Or me tumhe khush dekh k khush ho jau..
Jahain tum her ek lamhaa her chiz ko aaise nihaaro,
Jaise me tumhe nihartaa hu...
Jahain tum khud ko bhul jaao.. 
Jahain tum khud ko un saare hisso se,
Judaa juda sa mehsus kar sako..
jahain tum her ek lamhaa her chiz ko aaise nihaaro,
Jaise me tumhe nihartaa hu...

Jab tum safed barf ke samander ko,
Apni hatheliyo se chhuo..
Or wo safedi tumhare gulabi honto ko jama se de.. 
Safed barish me tum apni muskurahat ko,
Asmaan ki taraf bikher do.
Jaise ki tum iss barish ka,
Sadiyo se intzàr kar rahin thi..
Tum apne kapte haatho se, Barf ko apni hatheliyo pe, 
Rakh k uske ahsaas ko khud me pighalne do.. 
Or tumhari ankho me chamakti wo thandak,
Or us ahsaas ki garmi ko sirf me dekh saku..

Haa Me tumhare saath duniyaa ka her ek kona,
Her wo jagaha ghumna chahtaa hu..
Jahan tum khush ho.. 
Or me tumhe khush dekh k khush ho jau..
jahain tum her ek lamhaa her chiz ko aaise nihaaro, 
Jaise me tumhe nihartaa hu...

Me tumhare saath un pile maidaano me, 
Daudnaa chahta hu.. 
Me tumko pakadna chahta hu.. 
Me un pili sarso ko tumhare hatho me, 
Rakhna chahta hu..
Tumko dekhna chahta hu uss samye me..
Tumko baago m koyal ko gaata sun k, 
Tumhe gungunata hua sunnaa chahta hu me..
Tumhe barish me mor ke piche bhagte huaa, 
Dekhna chahta hu me..
Jaise ki tumne kabhi ye lamha jiya hi nahi. 
Jaise tumne kabhi wo pahle kiya hi nahi. 
Jaise tum utni khush kabhi hui hi nahi...

Haa Me tumhare saath duniyaa ka her ek kona, 
Her wo jagaha ghumna chahtaa hu..
Jahan tum khush ho.. 
Or me tumhe khush dekh k khush ho jau..
jahain tum her ek lamhaa her chiz ko aaise nihaaro, 
Jaise me tumhe nihaarta hu..

Me tumhare saath samander me dubte, 
Uss aag k gole ko dekhna chahta hu..
Jo pal pal samander ki bahon me,
Samata jaa raha hai. 
Jaise aaj pahli baar wo sama raha ho, 
Na jaldi hai samane ki na darr hai deri ka. 
Usko bhi maalum ho jaise ki pure din 
khud ko jalane ke baad, 
Bas wo issi lamhe ka hi to intzar karta hai..
Din bhar ki thakan k baad wo yahi to karna chahta hai..
Or fir jaise ki paani me samaa ke aaise bujh jaaye, 
Jaise fir kabhi na wo jal sakegaa..
Tum uske bujh jaane k baad bhi samander ko, 
Dur talak niharti raho.. 
Jaise tumhe sakun na mila ho abhi..
Jaise mujhe nii milta chahe tumhe, 
Kitna bhi dekh lu me..

 Haa Me tumhare saath duniyaa ka her ek kona, 
Her wo jagaha ghumna chahtaa hu..
Jahan tum khush ho.. 
Or me tumhe khush dekh k khush ho jau..
Jahain tum her ek lamhaa her chiz ko aaise nihaaro, 
Jaise me tumhe nihartaa hu...

Written by Dev Verma...