Tuesday 24 November 2015

JISM APNI RUH DHUNDTA HAI..





















Shaam ko hai mili,

Ek alga si jindgi..
Kisi bhi waste ka,
Na ab hai yakin..
Andhero me roshni dhundta hai..
Khaawo ko pata puchta hai,
Ye jism thak ke apni ruh dhundta hai..

Sitaro ki chaadar faila ke,
Jugnuo ka jamghat laga ke..
bite lamho ki shamma jala ke,
Yadoon ki kashti banake..
Samet laati hai aankhen manjer kai..
Jin kinaaro ko milti manjil nahi..
Dil mera na jaane kis sawaal ka,
Jawab puchtaa hai..
Andhero me roshni dhundta hai 
Khaawo ko pata puchta hai
Ye jism thak ke apni ruh dhundta hai..

Written By Dev Verma

Monday 9 November 2015

Ek saans...

























Ek saans.. aur ek aas.
Jindgi itni tanha bhi nahi..

Ek bhiga badal tu aasmaan kaa.
Ek me jalti zamin.
Ye pyaas itni adhuri bhi nahi..

Dil ko jab kinara mil jaayega.
Aankhon ko sitara mil jaayegaa.
Chandni sa bikherna tum aanchal apna.
Chand banke utrna kabhi chhat pe meri..
Badi sangdil si khaawahish hai..
Me jaanta hu.. mukkamal nahi..

Ek hisaab tera baaki  
Ek hisaab mera..
Ruh ka sakun tum le gaye..
Raato ko karwate tum de gaye..
Aur sirf tumhari yaad..
Ab ye jindgi itni tanha bhi nahi..
Ek saans.. aur ek aas.
Jindgi itni tanha bhi nahi..
Ek bhiga badal tu aasmaan kaa.
Ek me jalti zamin.
Ye pyaas itni adhuri bhi nahi..


Written by Dev Verma...